pareshan is tarah hone se kya hoga
pareshāñ is tarah hone se kyā hogā
vahī hogā jo manzūr-e-ḳhudā hogā
kabhī sochā nahīñ maiñ ne mohabbat meñ
vo mujh se ruuTh kar aise ḳhafā hogā
nahīñ koī shikāyat hai mujhe us se
shab-e-furqat meñ vo bhī to jalā hogā
chaloge kab talak tum un ke kāñdhoñ par
bhalā kyā ḳhaak tum ko tajraba hogā
bahut hī mushtarak the dard donoñ ke
yaqīnan āshiqī kā mas.ala hogā
ḳhud apne zehn kī gahrā.iyoñ meñ gum
kisī kambal meñ vo lipTā paḌā hogā
saḌak pe raushnī kī dauḌ jaarī hai
añdherā aage aage bhāgtā hogā
mire atrāf kī ḳhalvat meñ tanhā vo
mujhe shiddat se 'anvar' DhūñDhtā hogā
pareshan is tarah hone se kya hoga
wahi hoga jo manzur-e-KHuda hoga
kabhi socha nahin main ne mohabbat mein
wo mujh se ruTh kar aise KHafa hoga
nahin koi shikayat hai mujhe us se
shab-e-furqat mein wo bhi to jala hoga
chaloge kab talak tum un ke kandhon par
bhala kya KHak tum ko tajraba hoga
bahut hi mushtarak the dard donon ke
yaqinan aashiqi ka masala hoga
KHud apne zehn ki gahraiyon mein gum
kisi kambal mein wo lipTa paDa hoga
saDak pe raushni ki dauD jari hai
andhera aage aage bhagta hoga
mere atraf ki KHalwat mein tanha wo
mujhe shiddat se 'anwar' DhunDhta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.