pareshan kyun na ho jawe nazara
pareshāñ kyuuñ na ho jaave nazārā
is ārā.ish ne dil par naqsh maarā
ye mashshāta balā-e-tāza laa.ī
muja.ad kar diyā sar us kā saarā
hazāroñ choTiyāñ nannhī thiiñ aur baal
na kyuuñ taḳht apnā luTvā de hazārā
gudāz āhan-diloñ ko husn jab de
na hove aab kyūñkar sañg-e-ḳhārā
kahīñ dekhā hai is hai.at kā ma.ashūq
nazar kiijo muslimānāñ! ḳhudā-rā
bale ai 'mus.hafī' dīgar che goyam
adā-e-mū-e-mānī kisht maarā
pareshan kyun na ho jawe nazara
is aaraish ne dil par naqsh mara
ye mashshata bala-e-taza lai
mujad kar diya sar us ka sara
hazaron choTiyan nannhi thin aur baal
na kyun taKHt apna luTwa de hazara
gudaz aahan-dilon ko husn jab de
na howe aab kyunkar sang-e-KHara
kahin dekha hai is haiat ka mashuq
nazar kijo muslimanan! KHuda-ra
bale ai 'mushafi' digar che goyam
ada-e-mu-e-mani kisht mara
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.