pareshani kahan ki aur sukun kya
pareshānī kahāñ kī aur sukūñ kyā
yahī hai zindagī to sar dhunūñ kyā
koī suntā nahīñ shīshoñ ke ghar meñ
tumhāre shahr meñ patthar chunūñ kyā
jinheñ ginñe meñ TuuTī saañs Dorī
unhīñ sāñsoñ kā jurmāna bharūñ kyā
kisī zālim ke aage sar jhukā.ūñ
buzurgoñ kī rivāyat toḌ duuñ kyā
mire dast-e-talab ko roktī hai
batā ai muflisī āḳhir karūñ kyā
ḳhudā se is liye māñgā nahīñ kuchh
vo sab kuchh jāntā hai maiñ kahūñ kyā
karūñ kyā pairvī ahl-e-havas kī
tirī jānib qadam gin kar rakhūñ kyā
pareshani kahan ki aur sukun kya
yahi hai zindagi to sar dhunun kya
koi sunta nahin shishon ke ghar mein
tumhaare shahr mein patthar chunun kya
jinhen ginne mein TuTi sans Dori
unhin sanson ka jurmana bharun kya
kisi zalim ke aage sar jhukaun
buzurgon ki riwayat toD dun kya
mere dast-e-talab ko rokti hai
bata ai muflisi aaKHir karun kya
KHuda se is liye manga nahin kuchh
wo sab kuchh jaanta hai main kahun kya
karun kya pairwi ahl-e-hawas ki
teri jaanib qadam gin kar rakhun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.