pari-paikar jo mujh wahshi ka pairahan banate hain
pari-paikar jo mujh wahshi ka pairahan banate hain
Agha Hajju Sharaf
MORE BYAgha Hajju Sharaf
parī-paikar jo mujh vahshī kā pairāhan banāte haiñ
garebāñ chaak kar dete haiñ be-dāman banāte haiñ
junūñ meñ jā-ba-jā ham jo lahū rote haiñ sahrā meñ
guloñ ke shauq meñ vīrāne ko gulshan banāte haiñ
jinheñ ishq-e-dilī hai vo tumhārā naam japne ko
tahārat se hamārī ḳhaak kī misran banāte haiñ
muraqqa' khīñchte haiñ jo tire ganj-e-shahīdāñ kā
tah-e-shamshīr har tasvīr kī gardan banāte haiñ
diyā karte ho tum jis tarah se bal zulf-e-pechāñ ko
musāfir ke liye yuuñ phāñsiyāñ rahzan banāte haiñ
hasīnān-e-chaman par ḳhātma hai jāma-zebī kā
phaTā paḌtā hai joban jo ye pairāhan banāte haiñ
hamesha shefta rakhtī hai apnī husn-e-qudrat kā
ḳhud us kī ruuh ho jaate haiñ jis kā tan banāte haiñ
irāda hai jo shamshīr-e-do-dam ke muñh pe chaḌhne kā
tire jāñ-bāz chaar ā.īna o joshan banāte haiñ
rahā karte haiñ vo dil meñ phirā karte haiñ nazroñ meñ
'atā karte haiñ nuur āñkhoñ ko dil raushan banāte haiñ
salāh-e-ishq de de kar kiye dete haiñ ḳhud rafta
tire shaidā.ī dil se dost ko dushman banāte haiñ
koī chāk-e-jigar bulbul kā gul-chīnoñ se paatā hai
nikharne ko gul apne apne pairāhan banāne haiñ
guloñ ke Dher lā lā ke chaman se us meñ phūñkeñge
qarīb-e-bostāñ bedād-gar gulḳhan banāte haiñ
madad tayyār hai naqsha iram kā khiñch ke aayā hai
shahīd-e-nāz par rahm aa gayā madfan banāte haiñ
muraqqa' khīñchte haiñ baaġh kā jo husn qudrat se
gul-e-shādāb kā kyā rang kyā roġhan banāte haiñ
ta'alluq zeb-o-zīnat se nahīñ kuchh ḳhāksāroñ ko
'sharaf' miTTī meñ rañgte haiñ jo pairāhan banāte haiñ
pari-paikar jo mujh wahshi ka pairahan banate hain
gareban chaak kar dete hain be-daman banate hain
junun mein ja-ba-ja hum jo lahu rote hain sahra mein
gulon ke shauq mein virane ko gulshan banate hain
jinhen ishq-e-dili hai wo tumhaara nam japne ko
tahaarat se hamari KHak ki misran banate hain
muraqqa' khinchte hain jo tere ganj-e-shahidan ka
tah-e-shamshir har taswir ki gardan banate hain
diya karte ho tum jis tarah se bal zulf-e-pechan ko
musafir ke liye yun phansiyan rahzan banate hain
hasinan-e-chaman par KHatma hai jama-zebi ka
phaTa paDta hai joban jo ye pairahan banate hain
hamesha shefta rakhti hai apni husn-e-qudrat ka
KHud us ki ruh ho jate hain jis ka tan banate hain
irada hai jo shamshir-e-do-dam ke munh pe chaDhne ka
tere jaan-baz chaar aaina o joshan banate hain
raha karte hain wo dil mein phira karte hain nazron mein
'ata karte hain nur aankhon ko dil raushan banate hain
salah-e-ishq de de kar kiye dete hain KHud rafta
tere shaidai dil se dost ko dushman banate hain
koi chaak-e-jigar bulbul ka gul-chinon se pata hai
nikharne ko gul apne apne pairahan banane hain
gulon ke Dher la la ke chaman se us mein phunkenge
qarib-e-bostan bedad-gar gulKHan banate hain
madad tayyar hai naqsha iram ka khinch ke aaya hai
shahid-e-naz par rahm aa gaya madfan banate hain
muraqqa' khinchte hain bagh ka jo husn qudrat se
gul-e-shadab ka kya rang kya roghan banate hain
ta'alluq zeb-o-zinat se nahin kuchh KHaksaron ko
'sharaf' miTTi mein rangte hain jo pairahan banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.