parinde be-KHabar the sab panahen kaT chuki hain
parinde be-KHabar the sab panahen kaT chuki hain
Khushbir Singh Shaad
MORE BYKhushbir Singh Shaad
parinde be-ḳhabar the sab panāheñ kaT chukī haiñ
safar se lauT kar dekhā ki shāḳheñ kaT chukī haiñ
laraz jaatā huuñ ab to ek jhoñke se bhī aksar
maiñ vo ḳhema huuñ jis kī sab tanābeñ kaT chukī haiñ
bahut be-rabt rahne kā ye ḳhamyāza hai shāyad
ki manzil sāmne hai aur rāheñ kaT chukī haiñ
hameñ tanhā.ī ke mausam kī aadat paḌ chukī hai
ki is mausam meñ ab to kitnī rāteñ kaT chukī haiñ
na.e manzar ke ḳhvāboñ se bhī Dar lagtā hai un ko
purāne manzaroñ se jin kī āñkheñ kaT chukī haiñ
parinde be-KHabar the sab panahen kaT chuki hain
safar se lauT kar dekha ki shaKHen kaT chuki hain
laraz jata hun ab to ek jhonke se bhi aksar
main wo KHema hun jis ki sab tanaben kaT chuki hain
bahut be-rabt rahne ka ye KHamyaza hai shayad
ki manzil samne hai aur rahen kaT chuki hain
hamein tanhai ke mausam ki aadat paD chuki hai
ki is mausam mein ab to kitni raaten kaT chuki hain
nae manzar ke KHwabon se bhi Dar lagta hai un ko
purane manzaron se jin ki aankhen kaT chuki hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.