parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte hain
parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte haiñ
hameñ bhī yaad dar-o-bām aane lagte haiñ
fasīl-e-sarhad-e-māzī dhaḌakne lagtī hai
jo ḳhvāb niiñd kā dar khaTkhaTāne lagte haiñ
hubāb dhuup kī bārish meñ phūTte bante
sabāt-e-zāt kā matlab batāne lagte haiñ
sar-e-mahāz tire aate hī harīf mire
ye mere haath mujhe āzmāne lagte haiñ
tire ḳhayāl kī mahfil jo sajne lagtī hai
qarīb-e-hāl guzishta zamāne lagte haiñ
jo āsmān ko zid hai to kam nahīñ ham bhī
ki bād-e-barq na.e ghar banāne lagte haiñ
jo sunte haiñ ki tire shahr meñ dashrā hai
ham apne ghar meñ divālī sajāne lagte haiñ
sunī-sunā.ī sī har ik kahānī lagtī hai
na.e haiñ lafz ma.ānī purāne lagte haiñ
parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte hain
hamein bhi yaad dar-o-baam aane lagte hain
fasil-e-sarhad-e-mazi dhaDakne lagti hai
jo KHwab nind ka dar khaTkhaTane lagte hain
hubab dhup ki barish mein phuTte bante
sabaat-e-zat ka matlab batane lagte hain
sar-e-mahaz tere aate hi harif mere
ye mere hath mujhe aazmane lagte hain
tere KHayal ki mahfil jo sajne lagti hai
qarib-e-haal guzishta zamane lagte hain
jo aasman ko zid hai to kam nahin hum bhi
ki baad-e-barq nae ghar banane lagte hain
jo sunte hain ki tere shahr mein dashra hai
hum apne ghar mein diwali sajaane lagte hain
suni-sunai si har ek kahani lagti hai
nae hain lafz maani purane lagte hain
- Book : Safarguzar (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.