parinde sahme sahme uD rahe hain
parinde sahme sahme uḌ rahe haiñ
barābar meñ farishte uḌ rahe haiñ
ḳhushī se kab ye tinke uḌ rahe haiñ
havā ke Dar ke maare uḌ rahe haiñ
kahīñ koī kamāñ taane hue hai
kabūtar āḌe-tirchhe uḌ rahe haiñ
tumhārā ḳhat havā meñ uḌ rahā hai
ta.āqub meñ lifāfe uḌ rahe haiñ
bahut kahtī rahī āñdhī se chiḌiyā
ki pahlī baar bachche uḌ rahe haiñ
shajar ke sabz pattoñ kī havā se
fazā meñ ḳhushk patte uḌ rahe haiñ
parinde sahme sahme uD rahe hain
barabar mein farishte uD rahe hain
KHushi se kab ye tinke uD rahe hain
hawa ke Dar ke mare uD rahe hain
kahin koi kaman tane hue hai
kabutar aaDe-tirchhe uD rahe hain
tumhaara KHat hawa mein uD raha hai
taaqub mein lifafe uD rahe hain
bahut kahti rahi aandhi se chiDiya
ki pahli bar bachche uD rahe hain
shajar ke sabz patton ki hawa se
faza mein KHushk patte uD rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.