partaw-e-husn ek hai aur aaina-KHane bahut
partav-e-husn ek hai aur ā.ina-ḳhāne bahut
ik haqīqat ne banā Daale haiñ afsāne bahut
ruḳhsat ai chāk-e-garebāñ dast-e-vahshat alvidā.a
baḌh chuke haiñ ab junūñ kī had se dīvāne bahut
kho na jaa.eñ kasrat-e-asnām meñ vahdat-parast
bandagī ke zehn meñ hote haiñ but-ḳhāne bahut
sham-e-turbat par mirī aate hue jalte haiñ par
sham-e-mahfil par to aa jaate the parvāne bahut
'bismil' is dillī ke in sunsān vīrānoñ meñ aah
gūñjte haiñ aaj bhī ibrat ke afsāne bahut
partaw-e-husn ek hai aur aaina-KHane bahut
ek haqiqat ne bana Dale hain afsane bahut
ruKHsat ai chaak-e-gareban dast-e-wahshat alwidaa
baDh chuke hain ab junun ki had se diwane bahut
kho na jaen kasrat-e-asnam mein wahdat-parast
bandagi ke zehn mein hote hain but-KHane bahut
sham-e-turbat par meri aate hue jalte hain par
sham-e-mahfil par to aa jate the parwane bahut
'bismil' is dilli ke in sunsan viranon mein aah
gunjte hain aaj bhi ibrat ke afsane bahut
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 423)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.