partav-e-nūr bhī hai jauhar-e-tanvīr bhī hai
aa.ina bhī hai mirā dil tirī tasvīr bhī hai
zahr hai sab ke liye zahar-e-mohabbat lekin
agar aa jaa.e muāfiq to phir iksīr bhī hai
mujrim-e-ishq huuñ qātil kā maiñ ai dāvar-e-hashr
saaf to ye hai ki is meñ mirī taqsīr bhī hai
kis qadar sarfa nigāhoñ kā huā ġhairoñ meñ
kahiye ab aap ke tarkash meñ koī tiir bhī hai
kyuuñ kiyā kartā hai to sam.a-ḳharāshī 'nātiq'
sher kahtā hai to kuchh sher meñ tāsīr bhī hai
partaw-e-nur bhi hai jauhar-e-tanwir bhi hai
aaina bhi hai mera dil teri taswir bhi hai
zahr hai sab ke liye zahar-e-mohabbat lekin
agar aa jae muafiq to phir iksir bhi hai
mujrim-e-ishq hun qatil ka main ai dawar-e-hashr
saf to ye hai ki is mein meri taqsir bhi hai
kis qadar sarfa nigahon ka hua ghairon mein
kahiye ab aap ke tarkash mein koi tir bhi hai
kyun kiya karta hai to sama-KHarashi 'natiq'
sher kahta hai to kuchh sher mein tasir bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.