parwardigar de mujhe ghairat-shiar aankh
parwardigar de mujhe ghairat-shiar aankh
Anisa Haroon Sharwaniya
MORE BYAnisa Haroon Sharwaniya
parvardigār de mujhe ġhairat-shi.ār aañkh
pās-o-lihāz-e-mehr kī sarmāya-dār aañkh
kyā shaan hai farāsat-e-momin kī dekhnā
anvār-e-kibriyā kī hai mannat-guzār aañkh
gar aañkh de ḳhudā to basīrat atā kare
ḳhākistar-e-jahāñ se na ho pur-ġhubār aañkh
parwardigar de mujhe ghairat-shiar aankh
pas-o-lihaz-e-mehr ki sarmaya-dar aankh
kya shan hai farasat-e-momin ki dekhna
anwar-e-kibriya ki hai mannat-guzar aankh
gar aankh de KHuda to basirat ata kare
KHakistar-e-jahan se na ho pur-ghubar aankh
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 88)
- Author : Dr. Khan Mohd. Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.