pas-e-aina KHad-o-Khaal mein koi aur tha
pas-e-ā.ina ḳhad-o-ḳhāl meñ koī aur thā
koī sāmne thā ḳhayāl meñ koī aur thā
jo dinoñ ke dasht meñ chal rahā thā vo maiñ na thā
jo dhaḌaktā thā mah-o-sāl meñ koī aur thā
koī aur thā mire saath daur-e-urūj meñ
mire saath ahd-e-zavāl meñ koī aur thā
jise said karnā thā daam meñ vo chalā gayā
vo jo rah gayā tire jaal meñ koī aur thā
thī zamīñ ra.ūnat-e-ra.ad-o-barq se muzmahil
pas-e-abro-bād-e-jalāl meñ koī aur thā
pas-e-aina KHad-o-KHal mein koi aur tha
koi samne tha KHayal mein koi aur tha
jo dinon ke dasht mein chal raha tha wo main na tha
jo dhaDakta tha mah-o-sal mein koi aur tha
koi aur tha mere sath daur-e-uruj mein
mere sath ahd-e-zawal mein koi aur tha
jise said karna tha dam mein wo chala gaya
wo jo rah gaya tere jal mein koi aur tha
thi zamin raunat-e-rad-o-barq se muzmahil
pas-e-abro-baad-e-jalal mein koi aur tha
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 537)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.