pas-e-nigah koi lau bhaDakti rahti hai
pas-e-nigāh koī lau bhaḌaktī rahtī hai
ye raat mere badan par saraktī rahtī hai
maiñ aap apne añdheroñ meñ baiTh jaatā huuñ
phir is ke baa'd koī shai chamaktī rahtī hai
nadī ne paañv chhue the kisī ke us ke baa'd
ye mauj-e-tund faqat sar paTaktī rahtī hai
maiñ apne paikar-e-ḳhākī meñ huuñ magar mirī ruuh
kahāñ kahāñ mirī ḳhātir bhaTaktī rahtī hai
zarā sī der jo hotī hai us kī bārish-e-lams
to muddatoñ mirī miTTī mahaktī rahtī hai
pas-e-nigah koi lau bhaDakti rahti hai
ye raat mere badan par sarakti rahti hai
main aap apne andheron mein baiTh jata hun
phir is ke ba'd koi shai chamakti rahti hai
nadi ne panw chhue the kisi ke us ke ba'd
ye mauj-e-tund faqat sar paTakti rahti hai
main apne paikar-e-KHaki mein hun magar meri ruh
kahan kahan meri KHatir bhaTakti rahti hai
zara si der jo hoti hai us ki barish-e-lams
to muddaton meri miTTi mahakti rahti hai
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 59)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 57)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.