pasine pasine hue ja rahe ho
pasīne pasīne hue jā rahe ho
ye bolo kahāñ se chale aa rahe ho
hameñ sabr karne ko kah to rahe ho
magar dekh lo ḳhud hī ghabrā rahe ho
burī kis kī tum ko nazar lag ga.ī hai
bahāroñ ke mausam meñ murjhā rahe ho
ye ā.īna hai ye to sach hī kahegā
kyuuñ apnī haqīqat se katrā rahe ho
pasine pasine hue ja rahe ho
ye bolo kahan se chale aa rahe ho
hamein sabr karne ko kah to rahe ho
magar dekh lo KHud hi ghabra rahe ho
buri kis ki tum ko nazar lag gai hai
bahaaron ke mausam mein murjha rahe ho
ye aaina hai ye to sach hi kahega
kyun apni haqiqat se katra rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.