paspa hui sipah to parcham bhi hum hi the
paspā huī sipāh to parcham bhī ham hī the
hairat kī baat ye hai ki barham bhī ham hī the
girne lage jo suukh ke patte to ye khulā
gulshan the ham jo aap to mausam bhī ham hī the
ham hī the tere vasl se mahrūm umr bhar
lekin tere jamāl ke mahram bhī ham hī the
manzil kī be-ruḳhī ke gila-mand the hamīñ
har rāste meñ sañg-e-mujassam bhī ham hī the
apnī hī āstīñ meñ thā ḳhanjar chhupā huā
'amjad' har ek zaḳhm kā marham bhī ham hī the
paspa hui sipah to parcham bhi hum hi the
hairat ki baat ye hai ki barham bhi hum hi the
girne lage jo sukh ke patte to ye khula
gulshan the hum jo aap to mausam bhi hum hi the
hum hi the tere wasl se mahrum umr bhar
lekin tere jamal ke mahram bhi hum hi the
manzil ki be-ruKHi ke gila-mand the hamin
har raste mein sang-e-mujassam bhi hum hi the
apni hi aastin mein tha KHanjar chhupa hua
'amjad' har ek zaKHm ka marham bhi hum hi the
- Book : Fishaar (Pg. 32)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Jahangir Book Depot (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.