pasti pe bulandi ka saman dekh raha hun
pasti pe bulandi ka saman dekh raha hun
Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi
MORE BYSufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi
pastī pe bulandī kā samāñ dekh rahā huuñ
māthe pe tire kāhkashāñ dekh rahā huuñ
sūraj kī harārat se jale qatra-e-shabnam
maiñ phuul ke dāman meñ dhuāñ dekh rahā huuñ
maanā ki abhī tāj-mahal pe hai buḌhāpā
fankār tire fan ko javāñ dekh rahā huuñ
saḌkeñ haiñ lahū aur makānāt haiñ sho.ale
bastī meñ nayā amn-o-amāñ dekh rahā huuñ
pasti pe bulandi ka saman dekh raha hun
mathe pe tere kahkashan dekh raha hun
suraj ki hararat se jale qatra-e-shabnam
main phul ke daman mein dhuan dekh raha hun
mana ki abhi taj-mahal pe hai buDhapa
fankar tere fan ko jawan dekh raha hun
saDken hain lahu aur makanat hain shoale
basti mein naya amn-o-aman dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.