pata sab hai sataish aur hogi
pata sab hai satā.ish aur hogī
mirī shohrat kī sāzish aur hogī
baḌhegā aur sūnā-pan zamīñ kā
yahāñ jitnī rihā.ish aur hogī
hamārā saath yuuñ bhī chhūTnā thā
abhī to āzmā.ish aur hogī
to kyā ham haar dil se maan jaa.eñ
nahīñ ik baar koshish aur hogī
maiñ tā'ne sun chukā huuñ shahr bhar ke
abhī us kī navāzish aur hogī
na chhoḌoge agar inkār kī lat
jo ḳhvāhish hai vo ḳhvāhish aur hogī
pata sab hai sataish aur hogi
meri shohrat ki sazish aur hogi
baDhega aur suna-pan zamin ka
yahan jitni rihaish aur hogi
hamara sath yun bhi chhuTna tha
abhi to aazmaish aur hogi
to kya hum haar dil se man jaen
nahin ek bar koshish aur hogi
main ta'ne sun chuka hun shahr bhar ke
abhi us ki nawazish aur hogi
na chhoDoge agar inkar ki lat
jo KHwahish hai wo KHwahish aur hogi
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 102)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.