Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pathrili si sham mein tumne aise yaad kiya jaanam

Anees Ansari

pathrili si sham mein tumne aise yaad kiya jaanam

Anees Ansari

MORE BYAnees Ansari

    pathrīlī shaam meñ tum ne aise yaad kiyā jānam

    saarī raat tumhārī ḳhātir maiñ ne zahr piyā jānam

    sūraj mānind banā huuñ reza reza bikhrā huuñ

    ab jīvan sar-chashma huuñ vaise ḳhuub jilā jānam

    tum ne mujh meñ jo kuchh khoyā us qīmat tum jaano

    maiñ ne tum se jo kuchh paayā hai vo besh-bahā jānam

    tum ko bhī pahchān nahīñ hai shāyad merī uljhan

    lekin ham milte rahte to achchhā rahtā jānam

    ye sāhab jin se mil kar sab ḳhush ho jaatā hai

    raat ga.e tak un ke kamre meñ jaltā hai kyā jānam

    rakh paao to rok lo ham ko gahrā.ī ke baasī haiñ

    bahte paanī ke qatroñ meñ hotā hai dariyā jānam

    dard-e-judā.ī meñ likkhe haiñ sher tumhāre naam bahut

    tum mere ghar meñ rahtīñ to kyā aisā hotā jānam

    pathrili si sham mein tum ne aise yaad kiya jaanam

    sari raat tumhaari KHatir main ne zahr piya jaanam

    suraj ki manind bana hun reza reza bikhra hun

    ab jiwan ka sar-chashma hun waise KHub jila jaanam

    tum ne mujh mein jo kuchh khoya us ki qimat tum jaano

    main ne tum se jo kuchh paya hai wo besh-baha jaanam

    tum ko bhi pahchan nahin hai shayad meri uljhan ki

    lekin hum milte rahte to achchha hi rahta jaanam

    ye sahab jin se mil kar sab ka ji KHush ho jata hai

    raat gae tak un ke kamre mein jalta hai kya jaanam

    rakh pao to rok lo hum ko gahrai ke basi hain

    bahte pani ke qatron mein hota hai dariya jaanam

    dard-e-judai mein likkhe hain sher tumhaare nam bahut

    tum mere ghar mein rahtin to kya aisa hota jaanam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now