patte patte se naghma-sara kaun hai
patte patte se naġhma-sarā kaun hai
ai havā tere andar chhupā kaun hai
phuul shabnam shafaq chāñdnī kahkashāñ
parda-e-husn se jhāñktā kaun hai
maslahat-kosh vo to nahīñ thā magar
nutq ko haath se roktā kaun hai
itne badle hue haiñ ki hairat meñ huuñ
mere pīchhe meñ un se milā kaun hai
nā-umīdī ne mujh ko muvahhid kiyā
ab ḳhudā ke sivā aasrā kaun hai
ye 'tapish' kī anā hai nahīñ to yahāñ
ġham ko hañs hañs ke yuuñ jheltā kaun hai
patte patte se naghma-sara kaun hai
ai hawa tere andar chhupa kaun hai
phul shabnam shafaq chandni kahkashan
parda-e-husn se jhankta kaun hai
maslahat-kosh wo to nahin tha magar
nutq ko hath se rokta kaun hai
itne badle hue hain ki hairat mein hun
mere pichhe mein un se mila kaun hai
na-umidi ne mujh ko muwahhid kiya
ab KHuda ke siwa aasra kaun hai
ye 'tapish' ki ana hai nahin to yahan
gham ko hans hans ke yun jhelta kaun hai
- Book : Mata-e-Aainda (Pg. 23)
- Author : Abdussamad Tapish
- Publication : Abdussamad Tapish (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.