patthar ko pujte the ki patthar pighal paDa
patthar ko pūjte the ki patthar pighal paḌā
pal bhar meñ phir chaTān se chashma ubal paḌā
jal thal kā ḳhvāb thā ki kināre Dubo gayā
tanhā kañval bhī jhiil se bāhar nikal paḌā
ā.īne ke visāl se raushan huā charāġh
par lau se is charāġh kī ā.īna jal paḌā
guzrā gumāñ se ḳhat-e-farāmoshī-e-yaqīñ
aur aa.ine meñ silsila-e-aks chal paḌā
mat pūchhiye ki kyā thī sadā vo faqīr kī
kahiye sukūt-e-shahr meñ kaisā ḳhalal paḌā
baaqī rahūñgā yā nahīñ sochā nahīñ 'sa'īd'
apne madār se yūñhī ik din nikal paḌā
patthar ko pujte the ki patthar pighal paDa
pal bhar mein phir chaTan se chashma ubal paDa
jal thal ka KHwab tha ki kinare Dubo gaya
tanha kanwal bhi jhil se bahar nikal paDa
aaine ke visal se raushan hua charagh
par lau se is charagh ki aaina jal paDa
guzra guman se KHat-e-faramoshi-e-yaqin
aur aaine mein silsila-e-aks chal paDa
mat puchhiye ki kya thi sada wo faqir ki
kahiye sukut-e-shahr mein kaisa KHalal paDa
baqi rahunga ya nahin socha nahin 'sa'id'
apne madar se yunhi ek din nikal paDa
- Book : duniyaa zaad (Pg. 210)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.