patthar pani ho jate hain
patthar paanī ho jaate haiñ
log kahānī ho jaate haiñ
na.e na.e chehre vaale bhī
baat purānī ho jaate haiñ
ishq kī rut meñ saare bhikārī
rājā-rānī ho jaate haiñ
shaam samay lau ke jhoñke bhī
pavan suhānī ho jaate haiñ
sukh kā mausam jab aatā hai
jism bhī paanī ho jaate haiñ
sūkhe patte ga.ī rutoñ ke
na.ī nishānī ho jaate haiñ
ham to us kī bāteñ sun kar
paanī paanī ho jaate haiñ
patthar pani ho jate hain
log kahani ho jate hain
nae nae chehre wale bhi
baat purani ho jate hain
ishq ki rut mein sare bhikari
raja-rani ho jate hain
sham samay lau ke jhonke bhi
pawan suhani ho jate hain
sukh ka mausam jab aata hai
jism bhi pani ho jate hain
sukhe patte gai ruton ke
nai nishani ho jate hain
hum to us ki baaten sun kar
pani pani ho jate hain
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 438)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.