pattharon ne ye tamasha to kabhi dekha na tha
pattharoñ ne ye tamāshā to kabhī dekhā na thā
itnī ḳhāmoshī se koī aa.ina TuuTā na thā
dard ke sāgar meñ lahreñ is tarah machlī na thiiñ
ġham kī peshānī pe koī chāñd yuuñ chamkā na thā
suunī galiyoñ meñ bhaTaktī phir rahī thī chāñdnī
shahr-e-shab ke rāstoñ par ek maiñ tanhā na thā
jis ne raushan kar diye bujhtī umīdoñ ke charāġh
sāñvlā saaya thā koī nuur kā sho.ala na thā
manziloñ par bhī raheñge qurbatoñ ke fāsle
ham ne hañgām-e-safar 'akram' kabhī sochā na thā
pattharon ne ye tamasha to kabhi dekha na tha
itni KHamoshi se koi aaina TuTa na tha
dard ke sagar mein lahren is tarah machli na thin
gham ki peshani pe koi chand yun chamka na tha
suni galiyon mein bhaTakti phir rahi thi chandni
shahr-e-shab ke raston par ek main tanha na tha
jis ne raushan kar diye bujhti umidon ke charagh
sanwla saya tha koi nur ka shoala na tha
manzilon par bhi rahenge qurbaton ke fasle
hum ne hangam-e-safar 'akram' kabhi socha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.