pattiyan ho gain hari dekho
pattiyāñ ho ga.iiñ harī dekho
ḳhud se bāhar bhī to kabhī dekho
phir khilī kyā koī kalī dekho
shor hai kyuuñ galī galī dekho
yaad aur yaad ko bhulāne meñ
umr kī fasl kaT ga.ī dekho
maar koī shikār par niklā
dasht meñ raushnī huī dekho
raat kī raakh muñh pe mal mal kar
sub.h kitnī sañvar ga.ī dekho
sub.h kī fikr ba.ad meñ karnā
raat kitnī guzar ga.ī dekho
zindagī kis tarah tumhārī 'nizām'
uljhanoñ se ulajh ga.ī dekho
pattiyan ho gain hari dekho
KHud se bahar bhi to kabhi dekho
phir khili kya koi kali dekho
shor hai kyun gali gali dekho
yaad aur yaad ko bhulane mein
umr ki fasl kaT gai dekho
mar koi shikar par nikla
dasht mein raushni hui dekho
raat ki rakh munh pe mal mal kar
subh kitni sanwar gai dekho
subh ki fikr baad mein karna
raat kitni guzar gai dekho
zindagi kis tarah tumhaari 'nizam'
uljhanon se ulajh gai dekho
- Book : Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 101)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vagdevi Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.