payam-e-yas na de ai nigah-e-yar mujhe
Interesting Fact
February 1933
payām-e-yās na de ai nigāh-e-yār mujhe
rakh iztirāb kī ḳhātir umīd-vār mujhe
na.e karishme dikhātā hai e'tibār mujhe
ḳhizāñ hai ālam-e-nairañgī-e-bahār mujhe
vufūr-e-shauq se āñkhoñ meñ ruuh khich aa.ī
payām-e-maut thā va.ade kā e'tibār mujhe
nazar uThā ki mirī zindagī kahe labbaik
maiñ kho na jā.ūñ kahīñ ik zarā pukār mujhe
jazā hai ġham kī to mil jaa.e aaj ai 'mānī'
ki sau ġhamoñ kā hai ġham kal kā intizār mujhe
payam-e-yas na de ai nigah-e-yar mujhe
rakh iztirab ki KHatir umid-war mujhe
nae karishme dikhata hai e'tibar mujhe
KHizan hai aalam-e-nairangi-e-bahaar mujhe
wufur-e-shauq se aankhon mein ruh khich aai
payam-e-maut tha wade ka e'tibar mujhe
nazar uTha ki meri zindagi kahe labbaik
main kho na jaun kahin ek zara pukar mujhe
jaza hai gham ki to mil jae aaj ai 'mani'
ki sau ghamon ka hai gham kal ka intizar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.