pazhmurda dil hai wasl ke arman ko kya hua
pazhmurda dil hai vasl ke armāñ ko kyā huā
rotā huuñ maiñ bahār-e-gulistāñ ko kyā huā
kab tak uḌā.ūñ hijr meñ dāman kī dhajjiyāñ
ai sub.h tere chāk-garebāñ ko kyā huā
bulbul ke chahchahe haiñ na koī shagufta phuul
ai bāġhbāñ bahār-e-gulistāñ ko kyā huā
dil chiir kar dikhāne kī shai ho to maiñ dikhā.ūñ
furqat kī raat sadma mirī jaañ ko kyā huā
dushman kā sog saaf hai chehre se āshkār
ā.īna dekh zulf-e-pareshāñ ko kyā huā
bulbul hai chup fasurda chaman luT ga.ī bahār
maiñ ne kiyā jo chāk-e-garebāñ ko kyā huā
mahv-e-jamāl ho ga.e ā.īna dekh kar
tum kah rahe the nargis-e-hairāñ ko kyā huā
maiñ un ko is savāl kā ab kyā javāb duuñ
dāman ko āstīñ ko garebāñ ko kyā huā
kāñTe hazār dil meñ haiñ kis kis ko roiye
phūloñ ko bulbuloñ ko gulistāñ ko kyā huā
dil TukḌe ho ke sabr kā dāman huā hai chaak
kis se kahūñ ki chāk-garebāñ ko kyā huā
uljhā huā hai 'shād' kā dil baal kyā baneñ
vo kah rahe haiñ zulf-e-pareshāñ ko kyā huā
pazhmurda dil hai wasl ke arman ko kya hua
rota hun main bahaar-e-gulistan ko kya hua
kab tak uDaun hijr mein daman ki dhajjiyan
ai subh tere chaak-gareban ko kya hua
bulbul ke chahchahe hain na koi shagufta phul
ai baghban bahaar-e-gulistan ko kya hua
dil chir kar dikhane ki shai ho to main dikhaun
furqat ki raat sadma meri jaan ko kya hua
dushman ka sog saf hai chehre se aashkar
aaina dekh zulf-e-pareshan ko kya hua
bulbul hai chup fasurda chaman luT gai bahaar
main ne kiya jo chaak-e-gareban ko kya hua
mahw-e-jamal ho gae aaina dekh kar
tum kah rahe the nargis-e-hairan ko kya hua
main un ko is sawal ka ab kya jawab dun
daman ko aastin ko gareban ko kya hua
kanTe hazar dil mein hain kis kis ko roiye
phulon ko bulbulon ko gulistan ko kya hua
dil TukDe ho ke sabr ka daman hua hai chaak
kis se kahun ki chaak-gareban ko kya hua
uljha hua hai 'shad' ka dil baal kya banen
wo kah rahe hain zulf-e-pareshan ko kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.