pech bhaya mujhko tujh dastar ka
pech bhāyā mujh ko tujh dastār kā
band hai dil turra-e-zartār kā
jī phañsā hai jā ke us zulfoñ ke biich
dil shahīd us nargis-e-bīmār kā
pech meñ huuñ tere Dhīle pech suuñ
mahv huuñ is chīra-e-zartār kā
tujh ko hai ham se judā.ī aarzū
mere dil meñ shauq hai dīdār kā
kyuuñ na bāñdhe dil ko 'fā.ez' zulf suuñ
shauq hai kāfir ke tiiñ zunnār kā
pech bhaya mujh ko tujh dastar ka
band hai dil turra-e-zartar ka
ji phansa hai ja ke us zulfon ke bich
dil shahid us nargis-e-bimar ka
pech mein hun tere Dhile pech sun
mahw hun is chira-e-zartar ka
tujh ko hai hum se judai aarzu
mere dil mein shauq hai didar ka
kyun na bandhe dil ko 'faez' zulf sun
shauq hai kafir ke tin zunnar ka
- Book : Intekhab Kalam (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.