peD agar uncha milta hai
peḌ agar ūñchā miltā hai
mushkil se saaya miltā hai
mehnat se paisa miltā hai
jaise ko taisā miltā hai
dariyā ke riste sāgar se
qatra qatra jā miltā hai
sahrā jañgal sāgar parbat
in se hī rasta miltā hai
baiThe baiThe ghūmne vaalā
duniyā kā naqsha miltā hai
peD agar uncha milta hai
mushkil se saya milta hai
mehnat se paisa milta hai
jaise ko taisa milta hai
dariya ke riste sagar se
qatra qatra ja milta hai
sahra jangal sagar parbat
in se hi rasta milta hai
baiThe baiThe ghumne wala
duniya ka naqsha milta hai
- Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 140)
- Author : Ghulam Murtaza Rahi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.