peD patte chup hawa KHamosh hai
peḌ patte chup havā ḳhāmosh hai
ḳhushk hoñToñ par sadā ḳhāmosh hai
ik 'ajab sā silsila hai dard kā
chārāgar bebas davā ḳhāmosh hai
jaane vaale lauT kar aa.e nahīñ
baam par jaltā diyā ḳhāmosh hai
lafz bhī tāsīr shāyad kho chuke
dast-e-hājat meñ du'ā ḳhāmosh hai
dekh kar kahtā hai mujh ko aa.ina
aaj kyoñ ai dilrubā ḳhāmosh hai
maiñ ne pūchhā kyā huī dhaḌkan tirī
dil ne dhīre se kahā ḳhāmosh hai
koī to 'ambar' manā.e ab use
ho ke jo mujh se ḳhafā ḳhāmosh hai
peD patte chup hawa KHamosh hai
KHushk honTon par sada KHamosh hai
ek 'ajab sa silsila hai dard ka
chaaragar bebas dawa KHamosh hai
jaane wale lauT kar aae nahin
baam par jalta diya KHamosh hai
lafz bhi tasir shayad kho chuke
dast-e-hajat mein du'a KHamosh hai
dekh kar kahta hai mujh ko aaina
aaj kyon ai dilruba KHamosh hai
main ne puchha kya hui dhaDkan teri
dil ne dhire se kaha KHamosh hai
koi to 'ambar' manae ab use
ho ke jo mujh se KHafa KHamosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.