peDon ki ghani chhanw aur chait ki hiddat thi
peDon ki ghani chhanw aur chait ki hiddat thi
Zulfeqar Ahmad Tabish
MORE BYZulfeqar Ahmad Tabish
peḌoñ kī ghanī chhāñv aur chait kī hiddat thī
aur aise bhaTakne meñ anjān sī lazzat thī
in kohna fasīloñ ko pahroñ hī take jaanā
in ḳhālī jharokoñ meñ jaise koī sūrat thī
hairān sī nazroñ meñ ik shakl gurezāñ sī
ik sāya-e-guzrāñ se vo kaisī mohabbat thī
har jumbish-e-lab us kī dastak thī dar-e-dil par
har vaqf-e-ḳhamoshī meñ taqrīr kī lazzat thī
har din ke guzarne meñ har raat ke Dhalne meñ
har chashm-zadan manzil har saañs masāfat thī
peDon ki ghani chhanw aur chait ki hiddat thi
aur aise bhaTakne mein anjaan si lazzat thi
in kohna fasilon ko pahron hi take jaana
in KHali jharokon mein jaise koi surat thi
hairan si nazron mein ek shakl gurezan si
ek saya-e-guzran se wo kaisi mohabbat thi
har jumbish-e-lab us ki dastak thi dar-e-dil par
har waqf-e-KHamoshi mein taqrir ki lazzat thi
har din ke guzarne mein har raat ke Dhalne mein
har chashm-zadan manzil har sans masafat thi
- Book : Monthly Usloob (Pg. 541)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.