Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek

Khwaja Mohammad Wazir

pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek

Khwaja Mohammad Wazir

MORE BYKhwaja Mohammad Wazir

    pesh-e-āshiq chashm-e-giryān-o-lab-e-ḳhandāñ hai ek

    jal gayā jo naḳhl us ko barq aur bārāñ hai ek

    dekhne detā nahīñ us ko hijāb-e-ishq haa.e

    huuñ maiñ vo mahrūm jis ko vasl aur hijrāñ hai ek

    nā-tavānī se tire bīmār ke ruḳhsār par

    sailī-e-dast-e-sitam aur sāya-e-mizhgāñ hai ek

    pairahan meñ yuuñ badan hai jis tarah se tan meñ ruuh

    chashm-e-bad duur ab latāfat meñ vo jism-o-jāñ hai ek

    maah se tashbīh phir tujh ko na kyuuñ kar dījiye

    chāñdnī aur saaya terā ai mah-e-tābāñ hai ek

    aap se behtar aage ḳhud-numā.ī hai zubūñ

    rū-ba-rū-e-mehr māh-o-abr-e-be-bārāñ hai ek

    chāhiye hañs kar chhīḌaknā ai lab-e-jānāñ namak

    ātish-e-ġham se kabāb aur ye dil-e-sozāñ hai ek

    āshiqoñ ke aage mushrik ai but-e-yaktā huuñ maiñ

    gar kahūñ maiñ husn meñ aur mah-e-kan.āñ hai ek

    saikḌoñ tūtī-zabāñ haiñ yaañ asīr-e-dām-e-ġham

    ḳhāna-e-sayyād aur ye gumbad-e-gardāñ hai ek

    ek ye nuur hai dil meñ har ik ke jalva-gar

    shīshe haiñ lākhoñ parī sab meñ vale pinhāñ hai ek

    pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek

    jal gaya jo naKHl us ko barq aur baran hai ek

    dekhne deta nahin us ko hijab-e-ishq hae

    hun main wo mahrum jis ko wasl aur hijran hai ek

    na-tawani se tere bimar ke ruKHsar par

    saili-e-dast-e-sitam aur saya-e-mizhgan hai ek

    pairahan mein yun badan hai jis tarah se tan mein ruh

    chashm-e-bad dur ab latafat mein wo jism-o-jaan hai ek

    mah se tashbih phir tujh ko na kyun kar dijiye

    chandni aur saya tera ai mah-e-taban hai ek

    aap se behtar ki aage KHud-numai hai zubun

    ru-ba-ru-e-mehr mah-o-abr-e-be-baran hai ek

    chahiye hans kar chhiDakna ai lab-e-jaanan namak

    aatish-e-gham se kabab aur ye dil-e-sozan hai ek

    aashiqon ke aage mushrik ai but-e-yakta hun main

    gar kahun main husn mein tu aur mah-e-kanan hai ek

    saikDon tuti-zaban hain yan asir-e-dam-e-gham

    KHana-e-sayyaad aur ye gumbad-e-gardan hai ek

    ek hi ye nur hai dil mein har ek ke jalwa-gar

    shishe hain lakhon pari sab mein wale pinhan hai ek

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now