pesh jo aaya sar-e-sahil shab batlaya
pesh jo aayā sar-e-sāhil-e-shab batlāyā
mauj-e-ġham ko bhī magar mauj-e-tarab batlāyā
hai batāne kī koī chiiz bhalā nām-o-nasab
ham ne pūchhā na kabhī nām-o-nasab batlāyā
rañg mahfil kā ajab ho gayā jis dam us ne
ḳhāmushī ko bhī mirī husn-e-talab batlāyā
dil ko duniyā se sarokār kabhī thā hī nahīñ
aañkh ne bhī magar is ruḳh ko ajab batlāyā
ye udāsī kā sabab pūchhne vaale 'ajmal'
kyā kareñge jo udāsī kā sabab batlāyā
pesh jo aaya sar-e-sahil-e-shab batlaya
mauj-e-gham ko bhi magar mauj-e-tarab batlaya
hai batane ki koi chiz bhala nam-o-nasab
hum ne puchha na kabhi nam-o-nasab batlaya
rang mahfil ka ajab ho gaya jis dam us ne
KHamushi ko bhi meri husn-e-talab batlaya
dil ko duniya se sarokar kabhi tha hi nahin
aankh ne bhi magar is ruKH ko ajab batlaya
ye udasi ka sabab puchhne wale 'ajmal'
kya karenge jo udasi ka sabab batlaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.