peshani-e-hayat pe kuchh aise bal paDe
peshānī-e-hayāt pe kuchh aise bal paḌe
hañsne ko dil ne chāhā to aañsū nikal paḌe
rahne do mat bujhāo mire āñsuoñ kī aag
is kashmakash meñ aap kā dāman na jal paḌe
hañs hañs ke pī rahā huuñ isī tarah ashk-e-ġham
yuuñ dūsrā piye to kaleja nikal paḌe
'nashtar' vo ahl-e-ishq bhī haiñ kitne tañg-nazar
un kī zabān naam mirā sun ke jal paḌe
peshani-e-hayat pe kuchh aise bal paDe
hansne ko dil ne chaha to aansu nikal paDe
rahne do mat bujhao mere aansuon ki aag
is kashmakash mein aap ka daman na jal paDe
hans hans ke pi raha hun isi tarah ashk-e-gham
yun dusra piye to kaleja nikal paDe
'nashtar' wo ahl-e-ishq bhi hain kitne tang-nazar
un ki zaban nam mera sun ke jal paDe
- Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 33)
- Author : Anoop Jalota
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.