phaDphaData hua parinda hai
phaḌphaḌātā huā parinda hai
maan lo ki duā parinda hai
is kaḌī dhuup meñ mire hamrāh
ret aañsū havā parinda hai
ḳhvāhishoñ kā safar nahīñ ruktā
ye ajab bhāgtā parinda hai
jhiil sūkhī to vo palaT aayā
dil ke hāthoñ muḌā parinda hai
maut us ko kaho bajā lekin
asl meñ to uḌā parinda hai
aane vaalī bahār hai 'bābar'
merī chhat par rukā parinda hai
phaDphaData hua parinda hai
man lo ki dua parinda hai
is kaDi dhup mein mere hamrah
ret aansu hawa parinda hai
KHwahishon ka safar nahin rukta
ye ajab bhagta parinda hai
jhil sukhi to wo palaT aaya
dil ke hathon muDa parinda hai
maut us ko kaho baja lekin
asl mein to uDa parinda hai
aane wali bahaar hai 'babar'
meri chhat par ruka parinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.