phenke rang hawa ne phir
pheñke rang havā ne phir
phir ai yaar purāne phir
ab phir kufr karāoge
ai gandum ke daane phir
ġham ke bachche aa ga.e tum
mere phuul churāne phir
auj pe ho phir rang-e-bahār
mauj meñ hoñ dīvāne phir
chāroñ hoñT milāne aur
donoñ dil ghabrāne phir
itne nek haiñ saare to
manTo ke afsāne phir
phenke rang hawa ne phir
phir ai yar purane phir
ab phir kufr karaoge
ai gandum ke dane phir
gham ke bachche aa gae tum
mere phul churane phir
auj pe ho phir rang-e-bahaar
mauj mein hon diwane phir
chaaron honT milane aur
donon dil ghabrane phir
itne nek hain sare to
manTo ke afsane phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.