pher dete hain ruKH wo tufan ka
pher dete haiñ ruḳh vo tūfāñ kā
kyoñ sahārā na luuñ maiñ dāmāñ kā
tere aane se aa ga.ī hai bahār
baḳht jaagā hai shahr-e-vīrāñ kā
jān-o-dil us kī diid ke mushtāq
vahī mahbūb hai dil-o-jāñ kā
jis ke bande qazā meñ uḌte haiñ
maiñ bhī huuñ banda us sulaimāñ kā
us kā chehra dikhā rahā hai hameñ
saarā manzar hī ik gulistāñ kā
kaisī iqlīm meñ muqīm haiñ ham
aadmī vaañ na jā sake yaañ kā
us ke mahzar maiñ kyā bayān karūñ
vo to biinā hai hāl-e-pinhāñ kā
jis ko Daalā thā qaid meñ 'sābir'
shāhzāda thā vo to īrāñ kā
pher dete hain ruKH wo tufan ka
kyon sahaara na lun main daman ka
tere aane se aa gai hai bahaar
baKHt jaga hai shahr-e-viran ka
jaan-o-dil us ki did ke mushtaq
wahi mahbub hai dil-o-jaan ka
jis ke bande qaza mein uDte hain
main bhi hun banda us sulaiman ka
us ka chehra dikha raha hai hamein
sara manzar hi ek gulistan ka
kaisi iqlim mein muqim hain hum
aadmi wan na ja sake yan ka
us ke mahzar main kya bayan karun
wo to bina hai haal-e-pinhan ka
jis ko Dala tha qaid mein 'sabir'
shahzada tha wo to iran ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.