pher kar tegh-e-nazar tegh-e-jafa se pahle
pher kar teġh-e-nazar teġh-e-jafā se pahle
maar Daalā mujhe zālim ne qazā se pahle
ab mirā ḳhūn-e-jigar hāthoñ meñ malte haiñ vo
us se nafrat thī jinheñ rañg-e-hinā se pahle
zulf meñ chhūne na paayā ki bañdhe mere haath
dī sitamgar ne sazā mujh ko ḳhatā se pahle
shauq-e-dīdār kī tezī se maiñ aksar har sub.h
kūcha-e-yār meñ jaatā huuñ sabā se pahle
aisī tāsīr pe sau jaan se sadme qurbāñ
mere ghar aa ga.e vo merī duā se pahle
paas 'sābir' kā buto aaj na karnā paḌtā
duur rahte agar is mard-e-ḳhudā se pahle
pher kar tegh-e-nazar tegh-e-jafa se pahle
mar Dala mujhe zalim ne qaza se pahle
ab mera KHun-e-jigar hathon mein malte hain wo
us se nafrat thi jinhen rang-e-hina se pahle
zulf mein chhune na paya ki bandhe mere hath
di sitamgar ne saza mujh ko KHata se pahle
shauq-e-didar ki tezi se main aksar har subh
kucha-e-yar mein jata hun saba se pahle
aisi tasir pe sau jaan se sadme qurban
mere ghar aa gae wo meri dua se pahle
pas 'sabir' ka buto aaj na karna paDta
dur rahte agar is mard-e-KHuda se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.