Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain

Bhartendu Harishchandra

phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain

Bhartendu Harishchandra

MORE BYBhartendu Harishchandra

    phir aa.ī fasl-e-gul phir zaḳhm-e-dil rah rah ke pakte haiñ

    magar dāġh-e-jigar par sūrat-e-lāla lahakte haiñ

    nasīhat hai abas nāseh bayāñ nāhaq bakte haiñ

    jo bahke duḳht-e-raz se haiñ vo kab in se bahakte haiñ

    koī kar kaho ye āḳhirī paiġhām us but se

    are aa abhī dam tan meñ baaqī hai sisakte haiñ

    na bosa lene dete haiñ na lagte haiñ gale mere

    abhī kam-umr haiñ har baat par mujh se jhijakte haiñ

    vo ġhairoñ ko adā se qatl jab bebāk karte haiñ

    to us teġh ko ham aah kis hairat se takte haiñ

    uḌā laa.e ho ye tarz-e-suḳhan kis se batāo to

    dam-e-taqdīr goyā baaġh meñ bulbul chahakte haiñ

    'rasā' hai talāsh-e-yār meñ ye dasht-paimā.ī

    ki misl-e-shīsha mere paañv ke chhāle jhalakte haiñ

    phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain

    magar dagh-e-jigar par surat-e-lala lahakte hain

    nasihat hai abas naseh bayan nahaq hi bakte hain

    jo bahke duKHt-e-raz se hain wo kab in se bahakte hain

    koi ja kar kaho ye aaKHiri paigham us but se

    are aa ja abhi dam tan mein baqi hai sisakte hain

    na bosa lene dete hain na lagte hain gale mere

    abhi kam-umr hain har baat par mujh se jhijakte hain

    wo ghairon ko ada se qatl jab bebak karte hain

    to us ki tegh ko hum aah kis hairat se takte hain

    uDa lae ho ye tarz-e-suKHan kis se batao to

    dam-e-taqdir goya bagh mein bulbul chahakte hain

    'rasa' ki hai talash-e-yar mein ye dasht-paimai

    ki misl-e-shisha mere panw ke chhaale jhalakte hain

    Source :
    • Book : Bhartendu Samagr (Pg. 269)
    • Author : Mehant Sharma
    • Publication : Parcharak Garanthawali Priyajna, Hindi Parcharak Sanstha (1989)
    • Edition : 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now