phir aisa moD is qisse mein aaya
phir aisā moḌ is qisse meñ aayā
maiñ sadiyāñ ghuum kar lamhe meñ aayā
mirā rasta kisī jañgal se guzrā
ki ḳhud jañgal mire raste meñ aayā
kisī ke arsh par hone kā da.avā
samajh ik shab mujhe nashshe meñ aayā
maiñ apne ghar baḌī muddat se ke ba.ad aaj
kisī mehmān ke dhoke meñ aayā
tirā kirdār chalte-phirte ik din
mirī rūdād ke kūche meñ aayā
yūñhī ik din hujūm-e-ḳhāl-o-ḳhad meñ
nazar ḳhud ko vo ā.īne meñ aayā
muñDeroñ se utar kar ḳhauf koī
dabe paañv mire kamre meñ aayā
phir aisa moD is qisse mein aaya
main sadiyan ghum kar lamhe mein aaya
mera rasta kisi jangal se guzra
ki KHud jangal mere raste mein aaya
kisi ke arsh par hone ka dawa
samajh ek shab mujhe nashshe mein aaya
main apne ghar baDi muddat se ke baad aaj
kisi mehman ke dhoke mein aaya
tera kirdar chalte-phirte ek din
meri rudad ke kuche mein aaya
yunhi ek din hujum-e-KHal-o-KHad mein
nazar KHud ko wo aaine mein aaya
munDeron se utar kar KHauf koi
dabe panw mere kamre mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.