phir dekhte aish aadmi ka
phir dekhte aish aadmī kā
bantā jo falak mirī ḳhushī kā
gulshan meñ tire laboñ ne goyā
ras chuus liyā kalī kalī kā
terā bhī to husn hai daġhābāz
hotā hī nahīñ koī kisī kā
itnī hī to bas kasar hai tum meñ
kahnā nahīñ mānte kisī kā
ham bazm meñ un kī chupke baiThe
muñh dekhte haiñ har aadmī kā
tum kūcha-e-ġhair meñ na jaanā
us raah meñ hai guzar kisī kā
kis kis ne liye haiñ tere bose
hai la.al-e-namak-fishāñ jo phīkā
jo dam hai vo hai basā ġhanīmat
saara saudā hai jiite jī kā
āġhāz ko kaun pūchhtā hai
anjām achchhā ho aadmī kā
rokeñ unheñ kyā ki hai ġhanīmat
ānā-jānā kabhī kabhī kā
kahte haiñ use zabān-e-urdu
jis meñ na ho rang fārsī kā
aise se jo 'dāġh' ne nibāhī
sach hai ki ye kaam thā usī kā
phir dekhte aish aadmi ka
banta jo falak meri KHushi ka
gulshan mein tere labon ne goya
ras chus liya kali kali ka
tera bhi to husn hai daghabaz
hota hi nahin koi kisi ka
itni hi to bas kasar hai tum mein
kahna nahin mante kisi ka
hum bazm mein un ki chupke baiThe
munh dekhte hain har aadmi ka
tum kucha-e-ghair mein na jaana
us rah mein hai guzar kisi ka
kis kis ne liye hain tere bose
hai lal-e-namak-fishan jo phika
jo dam hai wo hai basa ghanimat
sara sauda hai jite ji ka
aaghaz ko kaun puchhta hai
anjam achchha ho aadmi ka
roken unhen kya ki hai ghanimat
aana-jaana kabhi kabhi ka
kahte hain use zaban-e-urdu
jis mein na ho rang farsi ka
aise se jo 'dagh' ne nibahi
sach hai ki ye kaam tha usi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.