phir gai aap ki do din mein tabiat kaisi
phir ga.ī aap kī do din meñ tabī.at kaisī
ye vafā kaisī thī sāhab ye muravvat kaisī
dost ahbāb se hañs bol ke kaT jā.egī raat
rind-e-āzād haiñ ham ko shab-e-furqat kaisī
jis hasīñ se huī ulfat vahī ma.ashūq apnā
ishq kis chiiz ko kahte haiñ tabī.at kaisī
hai jo qismat meñ vahī hogā na kuchh kam na sivā
aarzū kahte haiñ kis chiiz ko hasrat kaisī
haal khultā nahīñ kuchh dil ke dhaḌakne kā mujhe
aaj rah rah ke bhar aatī hai tabī.at kaisī
kūcha-e-yār meñ jaatā to nazāra kartā
qais āvāra hai jañgal meñ ye vahshat kaisī
phir gai aap ki do din mein tabiat kaisi
ye wafa kaisi thi sahab ye murawwat kaisi
dost ahbab se hans bol ke kaT jaegi raat
rind-e-azad hain hum ko shab-e-furqat kaisi
jis hasin se hui ulfat wahi mashuq apna
ishq kis chiz ko kahte hain tabiat kaisi
hai jo qismat mein wahi hoga na kuchh kam na siwa
aarzu kahte hain kis chiz ko hasrat kaisi
haal khulta nahin kuchh dil ke dhaDakne ka mujhe
aaj rah rah ke bhar aati hai tabiat kaisi
kucha-e-yar mein jata to nazara karta
qais aawara hai jangal mein ye wahshat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.