phir ghaDi aa gai aziyyat ki
phir ghaḌī aa ga.ī aziyyat kī
us kī yādoñ ne phir sharārat kī
jab khulīñ gutthiyāñ haqīqat kī
dhajjiyāñ uḌ ga.iiñ sharāfat kī
sach batāo kabhī huā aisā
sach batāo kabhī shikāyat kī
ḳhud se apnā mizāj bhī pūchhūñ
gar mayassar ghaḌī ho fursat kī
kitne chehroñ ke rañg zard paḌe
aaj sach bol kar himāqat kī
sach se hargiz gurez mat karnā
hai agar aarzū shahādat kī
maiñ buzurgoñ ke saa.e meñ huuñ 'zubair'
bārisheñ ho rahī haiñ rahmat kī
phir ghaDi aa gai aziyyat ki
us ki yaadon ne phir shararat ki
jab khulin gutthiyan haqiqat ki
dhajjiyan uD gain sharafat ki
sach batao kabhi hua aisa
sach batao kabhi shikayat ki
KHud se apna mizaj bhi puchhun
gar mayassar ghaDi ho fursat ki
kitne chehron ke rang zard paDe
aaj sach bol kar himaqat ki
sach se hargiz gurez mat karna
hai agar aarzu shahadat ki
main buzurgon ke sae mein hun 'zubair'
barishen ho rahi hain rahmat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.