phir hashr ke parda mein taqdir nazar aai
phir hashr ke parda meñ taqdīr nazar aa.ī
ā.īna-e-vahshat meñ tasvīr nazar aa.ī
jab qaid se ham chhūTe tadbīr nazar aa.ī
jab pā-e-junūñ TuuTe zanjīr nazar aa.ī
ai marg rag-o-pai ko de muzhda-e-sairābī
zahrāba-e-hirmāñ meñ tāsīr nazar aa.ī
har harf-e-amal-nāma kis shaan se bol uTThā
tahrīr ke parde meñ taqrīr nazar aa.ī
taraf-e-jigar-o-dil meñ thī yaas kī ābādī
vīrāne ke pahlū meñ ta.amīr nazar aa.ī
afsūn-e-karam dekho andāz-e-sitam dekho
har mauj-e-shakar-ḳhanda shamshīr nazar aa.ī
dīvāngī-e-dil kā thā ek nayā aalam
kaunain se āzādī tasḳhīr nazar aa.ī
is hastī-e-vahmī ne asrār-e-yaqīñ khole
kyā ḳhvāb nazar aayā ta.abīr nazar aa.ī
andoh-e-vafā avval dil-soz nazar aayā
ḳhākistar-e-dil āḳhir iksīr nazar aa.ī
phir hashr ke parda mein taqdir nazar aai
aaina-e-wahshat mein taswir nazar aai
jab qaid se hum chhuTe tadbir nazar aai
jab pa-e-junun TuTe zanjir nazar aai
ai marg rag-o-pai ko de muzhda-e-sairabi
zahraba-e-hirman mein tasir nazar aai
har harf-e-amal-nama kis shan se bol uTTha
tahrir ke parde mein taqrir nazar aai
taraf-e-jigar-o-dil mein thi yas ki aabaadi
virane ke pahlu mein tamir nazar aai
afsun-e-karam dekho andaz-e-sitam dekho
har mauj-e-shakar-KHanda shamshir nazar aai
diwangi-e-dil ka tha ek naya aalam
kaunain se aazadi tasKHir nazar aai
is hasti-e-wahmi ne asrar-e-yaqin khole
kya KHwab nazar aaya tabir nazar aai
andoh-e-wafa awwal dil-soz nazar aaya
KHakistar-e-dil aaKHir iksir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.