phir hui sham bayaban ko pagal nikla
phir huī shaam bayābān ko pāgal niklā
haath meñ le ke charāġh-e-dil-e-be-kal niklā
terī mahfil ko sajāne ka.ī jugnū aa.e
chāñd lahrā ke shab-e-tār kā āñchal niklā
'umr bhar kar ke safar ham jo vahāñ tak pahuñche
hāe-qismat ki vo darvāza muqaffal niklā
yaañ to maz.hab bhī hai tahzīb-o-tamaddun phir bhī
maiñ jise shahr samajhtā thā vo jangal niklā
yuuñ girānī ne tabī'at kī satāyā shab bhar
aañkh se ashk jo niklā bhī to bojhal niklā
tū ne sar māñgā to is shahr meñ sab se pahle
sar-ba-kaf terā divāna sū-e-maqtal niklā
raushnī ke liye jab dil ko jalāyā ham ne
dil se niklā to dhueñ kā koī bādal niklā
ham ko tohfe meñ jo baḳhshī ga.ī ik umr-e-tavīl
vaqt ke taul meñ tolā to vo ik pal niklā
vaqt-e-ruḳhsat huiiñ dulhan kī jo āñkheñ bojhal
qatra-e-ashk meñ lipTā huā kājal niklā
us ne jo āb-e-baqā kah ke diyā thā 'farhat'
mere to vāste vo zahr-e-halāhal niklā
phir hui sham bayaban ko pagal nikla
hath mein le ke charagh-e-dil-e-be-kal nikla
teri mahfil ko sajaane kai jugnu aae
chand lahra ke shab-e-tar ka aanchal nikla
'umr bhar kar ke safar hum jo wahan tak pahunche
hae-qismat ki wo darwaza muqaffal nikla
yan to mazhab bhi hai tahzib-o-tamaddun phir bhi
main jise shahr samajhta tha wo jangal nikla
yun girani ne tabi'at ki sataya shab bhar
aankh se ashk jo nikla bhi to bojhal nikla
tu ne sar manga to is shahr mein sab se pahle
sar-ba-kaf tera diwana su-e-maqtal nikla
raushni ke liye jab dil ko jalaya hum ne
dil se nikla to dhuen ka koi baadal nikla
hum ko tohfe mein jo baKHshi gai ek umr-e-tawil
waqt ke taul mein tola to wo ek pal nikla
waqt-e-ruKHsat huin dulhan ki jo aankhen bojhal
qatra-e-ashk mein lipTa hua kajal nikla
us ne jo aab-e-baqa kah ke diya tha 'farhat'
mere to waste wo zahr-e-halahal nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.