phir ek sathi mujhe akela chhor gaya
phir ik sāthī mujhe akelā chhor gayā
aap sidhārā apnā saayā chhoḌ gayā
us ko kitne peḌ sadā.eñ dete the
vo to sab ko yūñhī bulātā chhoḌ gayā
ab tak maidānoñ ke jism chamakte haiñ
jaane kaisī miTTī dariyā chhoḌ gayā
lipaT lipaT kar ik duuje se rote haiñ
jin pattoñ ko havā kā jhoñkā chhoḌ gayā
chāñdnī shab tū jis ko DhūñDne aa.ī hai
ye kamra vo shaḳhs to kab kā chhoḌ gayā
chaal thī kitnī tez badalte mausam kī
kitne hī lamhoñ ko sisaktā chhoḌ gayā
saarī muñDereñ vīrāñ vīrāñ rahtī haiñ
jab se 'shām' nagar tū apnā chhoḌ gayā
phir ek sathi mujhe akela chhor gaya
aap sidhaara apna saya chhoD gaya
us ko kitne peD sadaen dete the
wo to sab ko yunhi bulata chhoD gaya
ab tak maidanon ke jism chamakte hain
jaane kaisi miTTi dariya chhoD gaya
lipaT lipaT kar ek duje se rote hain
jin patton ko hawa ka jhonka chhoD gaya
chandni shab tu jis ko DhunDne aai hai
ye kamra wo shaKHs to kab ka chhoD gaya
chaal thi kitni tez badalte mausam ki
kitne hi lamhon ko sisakta chhoD gaya
sari munDeren viran viran rahti hain
jab se 'sham' nagar tu apna chhoD gaya
- Book : chera chera mery kahani (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.