phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein
phir is ke ba.ad kā koī na ho guzar mujh meñ
kabhī to ek pal ai dost yuuñ Thahar mujh meñ
jo ḳhud meñ jhāñkūñ to sannāTe sansanāte haiñ
koī to kar gayā hai raat yuuñ basar mujh meñ
bhaTaktā phirtā huuñ sunsān rahguzāroñ par
basā huā hai kisī yaad kā nagar mujh meñ
ajab nahīñ ka.ī motī bhī tere haath lageñ
zarā le kaam tū himmat se aur utar mujh meñ
maiñ terī zaat kā saayā huuñ tere andar huuñ
mirī talāsh sar-e-rah-guzar na kar mujh meñ
phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein
kabhi to ek pal ai dost yun Thahar mujh mein
jo KHud mein jhankun to sannaTe sansanate hain
koi to kar gaya hai raat yun basar mujh mein
bhaTakta phirta hun sunsan rahguzaron par
basa hua hai kisi yaad ka nagar mujh mein
ajab nahin kai moti bhi tere hath lagen
zara le kaam tu himmat se aur utar mujh mein
main teri zat ka saya hun tere andar hun
meri talash sar-e-rah-guzar na kar mujh mein
- Book : Dasht-e-Sada (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.