phir kabhi lauT kar na aaenge
phir kabhī lauT kar na ā.eñge
ham tirā shahr chhoḌ jā.eñge
dūr-uftāda bastiyoñ meñ kahīñ
terī yādoñ se lau lagā.eñge
sham-e-māh-o-nujūm gul kar ke
āñsuoñ ke diye jalā.eñge
āḳhirī baar ik ġhazal sun lo
āḳhirī baar ham sunā.eñge
sūrat-e-mauja-e-havā 'jālib'
saarī duniyā kī ḳhaak uḌā.eñge
phir kabhi lauT kar na aaenge
hum tera shahr chhoD jaenge
dur-uftada bastiyon mein kahin
teri yaadon se lau lagaenge
sham-e-mah-o-nujum gul kar ke
aansuon ke diye jalaenge
aaKHiri bar ek ghazal sun lo
aaKHiri bar hum sunaenge
surat-e-mauja-e-hawa 'jalib'
sari duniya ki KHak uDaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.