phir kisi KHwab ki palkon pe sawari aai
phir kisī ḳhvāb kī palkoñ pe savārī aa.ī
ḳhush-umīdī ko liye bād-e-bahārī aa.ī
phuul aa.e haiñ na.ī rut ke na.ī shāḳhoñ par
mauja-e-māh-e-dil-e-ārām kī baarī aa.ī
nā-murādāna kahīñ umr basar hotī hai
shād-kāmī ke liye yaad tumhārī aa.ī
aur phir phail gayā rang-e-mohabbat ruḳh par
lāla-e-zaḳhm liye yaar kī yaarī aa.ī
ik din ham ne zabāñ khol dī sach kahne ko
aur phir shāmat-e-a.amāl hamārī aa.ī
havas-e-ishq ke ahvāl baham karne ko
parda-e-sher meñ afsāna-nigārī aa.ī
phir kisi KHwab ki palkon pe sawari aai
KHush-umidi ko liye baad-e-bahaari aai
phul aae hain nai rut ke nai shaKHon par
mauja-e-mah-e-dil-e-aram ki bari aai
na-muradana kahin umr basar hoti hai
shad-kaami ke liye yaad tumhaari aai
aur phir phail gaya rang-e-mohabbat ruKH par
lala-e-zaKHm liye yar ki yari aai
ek din hum ne zaban khol di sach kahne ko
aur phir shamat-e-amal hamari aai
hawas-e-ishq ke ahwal baham karne ko
parda-e-sher mein afsana-nigari aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.