phir koi aa raha hai dil ke qarib
phir koī aa rahā hai dil ke qarīb
daaġh taaza khilā hai dil ke qarīb
phir koī yaad sāya-afgan hai
dhuñdlī dhuñdlī fazā hai dil ke qarīb
phir koī taaza vārdāt huī
jamghaTā sā lagā hai dil ke qarīb
aaj bhī chain se na soiyegā
phir kahīñ rat-jagā hai dil ke qarīb
kal khile the yahāñ nashāt ke phuul
ab dhuāñ uTh rahā hai dil ke qarīb
phir koi aa raha hai dil ke qarib
dagh taza khila hai dil ke qarib
phir koi yaad saya-afgan hai
dhundli dhundli faza hai dil ke qarib
phir koi taza wardat hui
jamghaTa sa laga hai dil ke qarib
aaj bhi chain se na soiyega
phir kahin rat-jaga hai dil ke qarib
kal khile the yahan nashat ke phul
ab dhuan uTh raha hai dil ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.