phir koi jashn manao ki hansi aa jae
phir koī jashn manāo ki hañsī aa jaa.e
giit ik aisā sunāo ki hañsī aa jaa.e
dam ghuTā jaatā hai is raat kī tārīkī meñ
koī bastī hī jalāo ki hañsī aa jaa.e
tum to be-laus ho muḳhlis ho karam-farmā ho
itne nazdīk na aao ki hañsī aa jaa.e
kaam karnā hai to maidān meñ aao 'shaukat'
is tarah baiTh na jaao ki hañsī aa jaa.e
phir koi jashn manao ki hansi aa jae
git ek aisa sunao ki hansi aa jae
dam ghuTa jata hai is raat ki tariki mein
koi basti hi jalao ki hansi aa jae
tum to be-laus ho muKHlis ho karam-farma ho
itne nazdik na aao ki hansi aa jae
kaam karna hai to maidan mein aao 'shaukat'
is tarah baiTh na jao ki hansi aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.