phir koi taswir ubhri KHwab mein
phir koī tasvīr ubhrī ḳhvāb meñ
be-qarārī hai dil-e-betāb meñ
sāhil-e-dariyā pe kyoñ larzāñ ho tum
maiñ chalā hañstā huā girdāb meñ
raushnī mil jaa.e bātin ko mire
kuchh izāfa ho jo ġham ke baab meñ
ab kahāñ us chehra-e-zebā kā aks
bah gayā jo kuchh ki thā sailāb meñ
ḳhvāb ḳhush hai dekh kar mahtāb ko
niiñd giryāñ bistar-e-kamḳhāb meñ
chāñd ko dekhe se 'kausar' hans paḌā
aap kyoñ haiñ itne pech-o-tāb meñ
phir koi taswir ubhri KHwab mein
be-qarari hai dil-e-betab mein
sahil-e-dariya pe kyon larzan ho tum
main chala hansta hua girdab mein
raushni mil jae baatin ko mere
kuchh izafa ho jo gham ke bab mein
ab kahan us chehra-e-zeba ka aks
bah gaya jo kuchh ki tha sailab mein
KHwab KHush hai dekh kar mahtab ko
nind giryan bistar-e-kamKHab mein
chand ko dekhe se 'kausar' hans paDa
aap kyon hain itne pech-o-tab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.