phir koi yaad aa gaya shayad
phir koi yaad aa gaya shayad
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
MORE BYJatinder Vir Yakhmi jayaveer
phir koī yaad aa gayā shāyad
ham ko jiinā sikhā gayā shāyad
hogī taklīf to duā kiije
phir vahī dard hai uThā shāyad
vo nahīñ āj-kal ḳhafā ham se
koī niklā hai rāsta shāyad
pher lī aañkh aap ne jab se
hai burā vaqt aa gayā shāyad
dil ye TuuTā hai aap ke hāthoñ
log samjhe haiñ hādsa shāyad
phir koi yaad aa gaya shayad
hum ko jina sikha gaya shayad
hogi taklif to dua kije
phir wahi dard hai uTha shayad
wo nahin aaj-kal KHafa hum se
koi nikla hai rasta shayad
pher li aankh aap ne jab se
hai bura waqt aa gaya shayad
dil ye TuTa hai aap ke hathon
log samjhe hain hadsa shayad
- Book : Ehsaas (Pg. 21)
- Author : Jatinder Vir Yakhmi
- Publication : Flate No. 11,4B Culptro State J.V.L.R. Andheri (Est) MUmbai-400 093 (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.